Sohrab ali khan ajmer
Agar na hota tera aastaan gharib nawaz.
Gharib ka tha thikana kahaan gharib nawaz.
.
.
Har aadmi yahaan dil se yaqeen rakhta hai.
Ke sun rahe hain meri dastaan gharib nawaz.
.
.
Kisi gharib ka duniya me jab na ho koi.
To us gharib ka hain aasra gharib nawaz.
.
.
Hamare waste ajmer hi madina hai.
Wahaan rasool-e-khuda hain yaahan gharib nawaz.
.
.
Gharib aye hain dar par tere gharib nawaz.
Karo gharib nawazi mere gharib nawaz.
Sohrab Ali Qawwal Ajmeri.
(the sufi Brothers music band)




Comments
Post a Comment